Tasavvur-e-dar-e-Kaaba Mein Woh Maza Hai Ke Bas
Tasavvur-e-dar-e-kaaba Mein Woh Maza Hai Ke Bas
Tasavvur-e-dar-e-kaaba mein woh maza hai ke bas
Woh lutf-e-sajda Madina mein aa gaya hai ke bas
Khuda ke baad Muhammad ka naam aata hai
Sabaq zabaan ko woh dil ne parha diya hai ke bas
Dar-e-Nabi pe musarrat ke aansuon ke siwa
Woh sail-e-ashk-e-nadamat ka silsila hai ke bas
Kaleed-e-khuld to be shag, hai itaa’at-e-Rasool
Magar Khuda ne woh musda suna diya hai ke bas
Nafas nafas hai piye naat-e-Mustafa ya ro
Darood itna mujhe raas aa gaya hai ke bas
Shoor-e-naat nigari ata kiya hai mujhe
Khuda ne Hamd ka aisa sila diya hai ke bas
Hamara deen to Islam hai magar Akhgar
Nabi-e-khatm-e-Rasool bhi to woh mila hai ke bas