Kalams Page

Talab Ka Munh To Kis Qabil Hai Ya Ghaus

Poet: Ahmed Raza Khan Barelvi | Book: Hadaiq-e-Bakhshish | Type: Manqabat

Talab Ka Munh To Kis Qabil Hai Ya Ghaus


Talab ka munh to kis qabil hai ya ghaus
Magar tera karam kamil hai ya ghaus

Dohai ya muhi-ud-deen dohai
Bala Islam par naazil hai ya ghaus

Wo sangeen bid'atain wo taiziyi kufr
Ke sar par tegh dil par sil hai ya ghaus

'Azuma qaatilan 'ind-al-qitaal
Madad ko a dam-e-bismil hai ya ghaus

Khuda ra nakhuda a de sahara
Hawa bigri bhanwar haail hai ya ghaus

Jila de deen jala de kufr o ilhaad
Ke tu muhi-yi hai tu qaatil hai ya ghaus

Tera waqt aur paday yun deen par waqt
Na tu aajiz na tu ghafil hai ya ghaus

Rahi haan shamat-e-aamaal ye bhi
Jo tu chahe abhi zaail hai ya ghaus

Ghayura! apni ghairat ka tasaddaq
Wohi kar jo tere qabil hai ya ghaus

Khuda ra marham-e-khak-e-qadam de
Jigar zakhmi hai dil ghayal hai ya ghaus

Na dekhun shakl-e-mushkil tere aage
Koi mushkil si ye mushkil hai ya ghaus

Wo ghera rishta-e-shirk-e-khafi ne
Phansa zunnar mein ye dil hai ya ghaus

Kiye tarsa o gabr aqtab o abdaal
Ye mahz Islam ka sa'il hai ya ghaus

Tu quwwat de main tanha kaam bisyar
Badan kamzor dil kahil hai ya ghaus

Adu-ud-din mazhab wale hasid
Tu hi tanha ka zor-e-dil hai ya ghaus

Hasad se un ke seene paak kar de
Ke badtar diq se bhi ye sil hai ya ghaus

Gizaye diq yehi khoon ostakhaan gosht
Ye aatish deen ki aakil hai ya ghaus

Diya mujh ko unhein mehroom chhoda
Mera kya jurm haq fasil hai ya ghaus

Khuda se lain laraai wo hai muati
Nabi qasim hai tu mosil hai ya ghaus

Ataaye muqtadir ghaffar ki hain
Abath bandon ke dil mein ghill hai ya ghaus

Tere baba ka phir tera karam hai
Ye munh warna kisi qabil hai ya ghaus

Bharran wale tera jhala to jhala
Tera chheenta mera ghaasil hai ya ghaus

Sana maqsood hai arz-e-gharz kya
Gharz ka aap to kafil hai ya ghaus

Raza ka khatima bilkher hoga
Teri rehmat agar shaamil hai ya ghaus