Takhleeq Ka Unwan Hain Sarkar-e-Do Aalamﷺ
Takhleeq Ka Unwan Hain Sarkar-e-doaalamﷺ
Takhleeq ka unwan hain Sarkar-e-DoAalamﷺ
Tauheed ka armaan hain Sarkar-e-DoAalamﷺ
Zaat un ki saraapay karam aayah-e-Rehmat
Sarmaya-e-Emaan hain Sarkar-e-DoAalamﷺ
Khamoshi mein asrar-e-Resalat ke nigehbaan
Guftaar mein Quran hain Sarkar-e-DoAalamﷺ
Mahshar mein har ik simt se mayoos dilon ki
Taskeen ka samaan hain Sarkar-e-DoAalamﷺ
Dekhe to koi azmat o taqeer bashar ki
Allah ke mehmaan hain Sarkar-e-DoAalamﷺ
Jo aur kisi ko bhi Zahoori na mile ga
Wo rutba zeeshan hain Sarkar-e-DoAalamﷺ