Kalams Page

Tajdaar-e-Haram Ho Nigah-e-Karam Hum Ghareebon Ke Din Bhi Sanwar Jaayenge

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Tajdaar-e-Haram Ho Nigah-e-Karam Hum Ghareebon Ke Din Bhi Sanwar Jaayenge


Tajdaar-e-Haram ho nigah-e-karam hum ghareebon ke din bhi sanwar jaayenge
Haami-e-bekasaan! kya kahega jahan aap ke dar se khaali agar jaayenge

Khauf-e-tofan hai aandhiyon ka hai gham, sakht mushkil hai aaqa kidhar jaayen hum
Aap bhi gar na leinge hamari khabar, hum museebat ke maare kidhar jaayenge

Mekashu aao aao Madine chalein, dast-e-saaqi-e-kausar se peene chalein
Yaad rakho agar uth gayi ek nazar, kitne khaali hain sab jaam bhar jaayenge

Koi apna nahin gham ke maare hain hum, aap ke dar pe faryaad laaye hain hum
Ho nigah karam warna chaukhat pe hum, aap ka naam le le ke mar jaayenge

Aap ke dar se koi na khaali gaya, apne daaman ko bhar ke sawaali gaya
Ho Habib-e-Hazin par bhi aaqa karam, warna auraaq-e-hasti bikhar jaayenge