Syed Konain Sultan-e-jahan
Syed Konain Sultan-e-jahan
Syed Konain Sultan-e-jahan
Zill-e-yazdan Shah-e-deen arsh aastan
Kul se a'laa kul se auliaa kul ki jaan
Kul ke aaqa kul ke haadi kul ki shaan
Dil-kusha dil-kush dil-ara dilastaan
Kaan-e-jaan o jaan-e-jaan o shaan-e-shaan
Har hikayat har kiniyat har ada
Har isharaat dil-nasheen o dil-nasheen
Dil de dil ko jaan jaan ko noor de
Ae jahan-e-jaan wale jaan-e-jahan
Aankh de aur aankh ko deedaar-e-noor
Rooh de aur rooh ko raah-e-jinaan
Allah Allah yaas aur aisi aasaas se
Aur ye hazrat ye dar ye aastan
Toh sana ko hai sana tere liye
Hai sana teri hi deegar dastaan
Tu na tha toh kuch na tha gar tu na ho
Kuch na ho tu hi tu hai jaan-e-jahan
Tu ho daata aur auron se raja
Tu ho aaqa aur yaad-e-deegaraan
Iltija is shirk o sharr se dure rakh
Ho raza tera hi gair az een o aan
Jis tarah hoont is ghazal se dure hain
Dil se yun hi dur ho har zan o zan