Kalams Page

Sunte Hain Ke Mahshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai

Poet: Ahmed Raza Khan Barelvi | Book: Hadaiq-e-Bakhshish | Type: Naat

Sunte Hain Ke Mahshar Mein Sirf Un Ki Rasai Hai


Sunte hain ke mahshar mein sirf un ki rasai hai
Gar un ki rasai hai lo jab to ban aai hai

Machla hai ke rehmat ne umeed bandhai hai
Kya baat teri mujrim kya baat banai hai

Sab ne saf mehshar mein lalkar diya hum ko
Ay be kason ke aqa ab teri duhai hai

Yun to sab unhin ka hai par dil ki agar poochho
Ye toote hue dil hi khas un ki kamai hai

Zaer gaye bhi kab ke din dahlne pe hai pyare
Uth mere akkele chal kya der lagai hai

Bazaar-e-amal mein to sauda na bana apna
Sarkar karam tujh mein aibi ki samai hai

Girte huon ko mujda sajde mein gire Mola
Ro ro ke shafaat ki tamheed uthai hai

Ay dil ye sulagna kya jalna hai to jal bhi uth
Dam ghatne laga zalim kya dhuni ramai hai

Mujrim ko na sharmao ahbab kafan dhak do
Munh dekh ke kya ho ga parde mein bhulai hai

Ab aap hi sambhalein to kam apne sambhal jayein
Hum ne to kamai sab khehlon mein gunwai hai

Ay aishq tere sadqe jalne se chute saste
Jo aag bujha de gi wo aag lagai hai

Hirs o havas-e-bad se dil tu bhi sitam kar le
Tu hi nahin begana duniya hi parai hai

Hum dil jale hain kis ke hat fitnon ke par kale
Kyun phoonk doon ik uf se kya aag lagai hai

Tayyaba na sahi afzal Makkah hi bada zahid
Hum ishq ke bande hain kyun baat barhai hai

Matla mein ye shak kya tha wallah raza wallah
Sirf un ki rasai hai sirf un ki rasai hai