Kalams Page

Sun Sun Mera Paighaam Sun

Poet: Mohsin Naqvi | Book: Haq Ailya | Type: Manqabat

Sun Sun Mera Paighaam Sun


Sun sun mera paighaam sun
Har baat par yun sar na dhan
Apni qabaaye fikr par
Kuliyan saja kaante na chun
Haider baqa baqi fana
Resham pehan khaddar na ban
Ik baar pi jaam-e-vila
Tujh par sada barse ga han
Kuch soch takhliqat par
Ae saahib-e-fikr o sukhan
Banta hai jab paikar koi
Kehta hai kaun us waqt kun
Afkaar ka sona bana
Alfaaz ki rooi na dhan
Is par mera imaan hai
Aata hai mujh ko aik gun
Mola Ali mushkil kasha
Jis ko liya khaaliq ne chun
Haan ae adu-e-Murtaza
Haider ka tu hamsar dikha
Jis ko khuda banda kahe
Bande kahen jis ko khuda
Haq Ilya haq Ilya
Haq Ilya
Ye enn o aan ye khushk o tar
Ye rang o bu shaam o sehar
Veeraan hoti bastiyan
Har simt ye aabaad ghar
Ye galghale ehsas ke
Ye haao hoo aatho pehar
Har dum jawaa paiham ravan
Dharti falak shams o qamar
Tofaan, samundar, aab jo
Heere, sadaf, moti, gaher
Raste musafir qafile
Manzil qadam gard-e safar
Rang-e-fiza, sang-e-sada
Kurobiyyan, jinn o bashar
Jo kuch bhi hai kounain mein
Mola ki hai khairaat-e-dar
Sab kuch usi ke faiz se
Sab ka wohi hai charah gar
Jab us ka dar bajne laga
Sara jahan sajne laga
Quran mein parh hal ata
Sala ale, sala ale
Haq Ilya, haq Ilya
Haq Ilya
Ae khita-e-arz-e-arab
Kar yaad tu teerah Rajab
Anwaar-e-Kaaba dar Nabi
Hum shakal-e-Yazdan ke sabab
Khaalik ke ghar utre bashar
Hota hai yun duniya mein kab?
But bhi usay sajda karein
Logon ye hai banda ajab
Ausaf misal-e-kibriya
Seerat mein bhi aala nasab
Jab tak na den Ahmad zabaan
Us waqt tak khole na lab
Is banda-e-Rab ke liye
Kehte hai khud bandon ka Rab
Us ki raza meri raza
Us ka ghazab mera ghazab
Mere Nabi ka aasra
Koi nahi us ke siwa
Ab tu bhi ho waqf-e-dua
Haq Ilya haq Ilya
Haq Ilya
Jhoole mein ik tifl-e-haseen
Soya hua hai naazneen
Bint-e-Asad ka ladla
Aalam ka tanha meh jabeen
Jhuk jhuk ke dekhe aasman
Ruk ruk ke pehchaane zameen
Dahka hai rang-e-laal-e-lab
Mehki hai zulf-e-amberiin
Aankhein gulaabi jheel hain
Chehra rukh-e-deen mubeen
Azdhar ki phunkaarein suno
Thahro hui aahat kahin
Phaila adu-e-Murtaza
Aaya jo jhoole ke qareeb
Utha woh dast-e-Kibriya
Azdhar hua tukde nahi
Aalam pe sakta chha gaya
Har shakhs hai sehma hua
Bujhal ko kehna pada
Haq Ilya, haq Ilya
Haq Ilya
Hijrat ki shaam-e-par khatar
Bhai ki chadar oadh kar
Soya hai kitne chain se
Jaan dada-e-khair al bashar
Dekha khumaar-e-khaab mein
Munh choomne aayi sehar
Adaa ke ghere mein makaan
Dushman ke qabze mein hai ghar
Manzar se hai zahi raaz
Teghon se barsein ge sharar
Lekin ye manzar chhod do
Aao zara dekhein idhar
Paighambhari hai mutmain
Bistar pe hai sher-e-babar
Lipta hai apni asal se
Shaakh-e-shujaat ka samar
Us simt khauf o huzn se
Roya Nabiؐ ka hum safar
Saroorؐ ko kuch yaad aa gaya
Kehne lage yun Mustafa
Kyun be mahal rone laga
Aa tujh pe dam kar doon dua
Haq Ilya, haq Ilya
Haq Ilya
Ik aur manzar dekhna
Ab soye Khaibar dekhna
Baghz o hasad ke roop mein
Marhab ke taywar dekhna
Hain sarngoon baithe hue
As-haab-e-saroor dekhna
Ruh re rehti Ahmed ka wahaan
Apna muqaddar dekhna
Aaya sawar-e-kahkashan
Utra woh Haider dekhna
Ik pal mein ab urta hua
Ik aahni dar dekhna
Sehmi zameen odhe hue
Jibril ke par dekhna
Aata hai kitne naaz se
Nafs-e-Paigambarؐ dekhna
Salman kehte the idhar
Logo hunarwar dekhna
Kaise chali tegh-e-Ali
Mardon ke johar dekhna
Haider ki muthi mein zara
Marhab ka bhi sar dekhna
Kehte the us dham Mustafa
Yeh hai paigham-e-kibriya
Jab bhi ho dukh ka saamna
Waajib hai tum par yeh sada
Haq Ilya, haq Ilya
Haq Ilya
Miraaj ki shab aa gayi
Har soo khamoshi chha gayi
Jaago zara ae Mustafa
Dekho sawari aa gayi
Tay ho chuki sab manzilen
Ruh-e-ummat lehrra gayi
Aaya hijaab-e-aakhri
Saari fiza chura gayi
Chup chup hai haq ka Nabiؐ
Qismat kahan theherra gayi
Yeh saath hai dekha hua
Angusht hi batla gayi
Pardey ke andar kaun hai?
Lahje ki ro samjha gayi
Ubhri sada-e-aashna
Aaqde kai suljha gayi
Poocha Nabiؐ ne maajara
Aai sada-e-Kibriya
Ae waaris-e-bazm-e-Kasaa
Yeh kaun hai bjuho zara
Bole jawaaban Mustafa
Haq Ilya, haq Ilya
Haq Ilya
Yaad aaya kuch barmahal
Soye Ghadir-e-Khum bhi chal
Yeh qafila kyun ruk gaya?
Parhne laga kaisa khalal?
Utra hai kyun Ruh al Amin?
Kyun tham gaya har aik pal?
Paalan ke mimbar pe kyun?
Ubhri azaan ae dil sambhal
Kehta hai kaun is dasht mein
Hayye ‘ala khair al-amal
Sun le zubaan-e-noor se
Toheed ki taaza ghazal
Woh de rahein hain Mustafa
Pegaam-e-Rabb lam yazal
Haider hai mera jaan nasheen
Haider meri mehnat ka phal
Yeh mehvar-e-arz o sama
Nabiyon ka yeh uqda kasha
Aadam ka pehla mad’a
Nooh-e-naji ka aasra
Yaqoob ke dil ki dua
Yeh hussan-e-Yusuf ki baqa
Yeh ibn-e-Maryam ki shifa
Yeh sadr-e-bazm-e-atqiya
Yeh qatae-e-zulm o waba
Yeh manzil-e-haq aashna
Yeh banda-e-ghaib numa
Yeh aadmi ka irtqa
Yeh fasal gul mauj saba
Yeh saqi-e-hawz-e-wila
Yeh maa o anjum ki zia
Yeh dushman-e-haq ki qaza
Yeh sar-e-haq ki ibtida
Yeh raazdar-e-inma
Yeh hoslon ki inteha
Yeh sabr mein dhaala hua
Yeh maut ka paala hua
Yeh khaldi ka sultaan sada
Yeh daafi-e-qat o waba
Yeh shafi-e-roz-e-jaza
Yeh jang mein kohsar sa
Yeh aaina aamaal ka
Yeh so marz ki aik dawa
Yeh kashtiyon ka naa khuda
Yeh saaz-e-haq soz-e-nawa
Yeh markaz-e-hussan-e-wafa
Yeh raaz-e-naqt tahat-e-ba
Yeh lakht-e-dil Imran ka
Har ek ka mola ban gaya
Ab mujh pe bhi wajib hua
Haq Ilya haq Ilya
Haq Ilya
Haq Ilya