Kalams Page

Sultan-e-Arb M'raj Nasab Aye Nasir-e-Arz O Sama Madad'e

Poet: Mohsin Naqvi | Book: Haq Ailya | Type: Manqabat

Sultan-e-Arb M'raj Nasab Aye Nasir-e-Arz O Sama Madad'e


SulTan-e-arb m'raj nasab aye nasir-e-arz o sama madad'e
aye markaz-e-alam ilm o yaqeen aye mawhar-e-sabr o raza madad'e
aye rahbar-e-kamil manzil-e-haq aye paykar-e-sidq o safa madad'e
aye hilm ka ghar aye ilm ka dar haider safdar Aelia madad'e
tu sakhi tu akhi tu jali ka wali tu aliؑ tu hai shir-e-khuda madad'e

mera dil meeran mere deen ka chaman mera shola badan zara samne aa
mera shokh sakhan mere le mera fan mera tan man dhan zara samne aa
mera roop gagan mera dheol sajan meri jaan mera chan zara samne aa
zara samne aa mera roop barha meri saj dhaj shan-e-skha madad'e
tu sakhi tu akhi tu jali ka wali tu aliؑ tu hai shir-e-khuda madad'e

tu kahan hai bata mere ibn abi tujhe dhoond raha hai khuda ka nabiؐ
teri khush laqbi pe yeh log hansen meri haq talbi ki hai be adbi
koi muns-e-jaan nahi tere siwa makki, madni, ajami, arbi
yahan t'rigy-e-batil hai bohat aye roshni-e-BuT'ha madad'e
tu sakhi tu akhi tu jali ka wali tu aliؑ tu hai shir-e-khuda madad'e

phir kheench tanaben dharti ki, phir aaj naye andaz se aa
konain ki nabzein tham jaen is tor se aa is naaz se aa
khyber se madina door sahi taqat se nahi a'jaz se aa
aye sahib-e-hai ala madad'e aye waris-e-madad'e
tu sakhi tu akhi tu jali ka wali tu aliؑ tu hai shir-e-khuda madad'e

kya arz karun yeh shehar mere kis buzdil gode ke pale hain
sab soorat ke ujale hain par man andar se kale hain
be waqt ke rogi jogi hain be moqa rone wale hain
ab in se jaan chhura meri aye saiya-e-bal-e-huma madad'e
tu sakhi tu akhi tu jali ka wali tu aliؑ tu hai shir-e-khuda madad'e

mujhe arsh pe jab kya haq ne talab m'raj ki shab zara yaad to kar
wahan tere sabab hua hal ajab wahi bazm-e-tarab zara yaad to kar
main tha mehr ba lab mujhe yaad hai sab yehi kahta tha rab zara yaad to kar
kabhi waqt pade to aye khatm-e-rasul yehi kehna ke ghaib numa madad'e
tu sakhi tu akhi tu jali ka wali tu aliؑ tu hai shir-e-khuda madad'e

tak soe falak, mere arsh talak, hai yeh jis ki jhalak woh ali tu nahi
nig'ran hain malak, na jhapak tu palak, hai yeh jis ki chamak woh ali tu nahi
hui aesi kadak, gaya dil bhi dhadak, mujhe hota hai shak woh ali tu nahi
parho sl alaؐ woh ali agaya kaho qalb o ka'ba ma madad'e
tu sakhi tu akhi tu jali ka wali tu aliؑ tu hai shir-e-khuda madad'e

jibreel ke par, kuffar ke sar, hoshiyar ke shir babr aya
aye qalb o jigar, aye fikr o nazar, tayar ke shir babr aya
taron ke nagar, dharti ke sipar, baidar ke shir babr aya
aye naz-e-dil-e-Uqba madad'e, aye taj-e-sar-e-zahraؑ madad'e
tu sakhi tu akhi tu jali ka wali tu aliؑ tu hai shir-e-khuda madad'e