Sukhanuri Mein Zair Aur Zabar Kahe Aliؑ Aliؑ
Sukhanuri Mein Zair Aur Zabar Kahe Aliؑ Aliؑ
Sukhanuri mein zair aur zabar kahe Aliؑ Aliؑ
Jo lafz ban gaya gaher, gaher kahe Aliؑ Aliؑ
Zameen se nazar hati, gayi falak se paar jab
Jahan gayi jidhar gayi nazar kahe Aliؑ Aliؑ
Ali meri to sans mein utar gaye kuch is tarah
Yeh tan kahe, yeh man kahe, jigar kahe Aliؑ Aliؑ
Ziyay shams mein gaya, nigah-e-shams ne kaha
Chalo ge jis taraf bhi rahguzar kahe Aliؑ Aliؑ
Samar se poochne gaya, batao Maula kaun hai
Samar ki baat sun ke phir shajar kahe Aliؑ Aliؑ
Main shab se poochta raha, ke hai teri umeed kya
To shab ke saath jhoom kar sahar kahe Aliؑ Aliؑ
Safar jo wahdaton ka hai, woh kasraton mein dhul gaya
Nagar nagar mein ghoom kar safar kahe Aliؑ Aliؑ
Kiran kiran jo chaandni se phootta hai fazl bhi
Woh bahr o bar mein ja ke be khatar kahe Aliؑ Aliؑ
Main Qaem-ul-Salawat hoon, main bandagi ki zaat hoon
Sajood ka ,qayam ka hunr kahe Aliؑ Aliؑ