Kalams Page

Subha Tayba Mein Hui Batt'ta Hai Baara Noor Ka

Poet: Ahmed Raza Khan Barelvi | Book: Hadaiq-e-Bakhshish | Type: Naat

Subha Tayba Mein Hui Batt'ta Hai Baara Noor Ka


Subha Tayba mein hui batt'ta hai baara Noor ka
Sadqa lene Noor ka aaya hai taara Noor ka

Baagh-e-Tayba mein suhaana phool phoola Noor ka
Mast-e-boo hain bulblein, parhti hain kalma Noor ka

Baaraween ke chaand ka mujra hai sajda Noor ka
Baara burjon se jhuka ek ek sitaara Noor ka

Un ke qasr-e-qadr se Khuld ek kamra Noor ka
Sidra paayein baagh mein nanha sa poda Noor ka

Arsh bhi, Firdous bhi, is Shah-e-wala Noor ka
Yeh musamman burj woh mushkoye a’ala Noor ka

Aayi bid’at, chhaayi zulmat, rang badla Noor ka
Maah-e-Sunnat, mehr-e-tal’at le le badla Noor ka

Tere hi maathe raha aye jaan sehra Noor ka
Bakht jaaga Noor ka, chamka sitaara Noor ka

Main gada tu baadshah, bhar de pyaala Noor ka
Noor din doona tera de daal sadqa Noor ka

Teri hi jaanib hai paanchon waqt sajda Noor ka
Rukh hai Qibla Noor ka, abroo hai Kaaba Noor ka

Pusht par dhalka sar-e-anwar se shamla Noor ka
Dekhein Musa Toor se utra saheefa Noor ka

Taaj wale dekh kar tera imaama Noor ka
Sar jhukate hain ilahi bol baala Noor ka

Beeniy-e-purnoor par rakhshan hai bukka Noor ka
Hai Liwa-ul-Hamd par urta pharera Noor ka

Mushaf-e-’aariz pe hai khat-e-shafi’ah Noor ka
Lo siyah kaaro mubarak ho qabala Noor ka

Aab-e-zar banta hai aariz par paseena Noor ka
Mushaf-e-ijaaz par chadhta hai sona Noor ka

Paich karta hai fida hone ko lam’a Noor ka
Gard-e-sar phirne ko banta hai imaama Noor ka

Haibat-e-’aariz se tharata hai shola Noor ka
Kafsh-e-paa par gir ke ban jaata hai guppa Noor ka

Sham’a dil, mishkat tan, seena zujajah Noor ka
Teri soorat ke liye aaya hai Surah Noor ka

Mail se kis darja suthra hai woh putla Noor ka
Hai galey mein aaj tak kora hi kurta Noor ka

Tere aage khaak par jhukta hai maatha Noor ka
Noor ne paaya tere sajde se seema Noor ka

Tu hai saaya Noor ka, har uzw tukda Noor ka
Saaya ka saaya na hota hai, na saaya Noor ka

Kya bana naam-e-Khuda Asra ka dulha Noor ka
Sar pe sehra Noor ka, bar mein shahana Noor ka

Bazm-e-wahdat mein maza hoga dobaala Noor ka
Milne sham’a-e-Toor se jaata hai ikka Noor ka

Wasf-e-rukh mein gaati hain hoorain taraana Noor ka
Qudrati beenon mein kya bajta hai lehra Noor ka

Yeh kitaab-e-Kun mein aaya turfa aayah Noor ka
Ghair-e-qail kuch na samjha koi ma’na Noor ka

Dekhne walon ne kuch dekha na bhaala Noor ka
Man ra’a kaisa yeh aaeena dikhaya Noor ka

Subah kar di kufr ki, sach tha mujda Noor ka
Shaam hi se tha shab-e-teera ko dhadka Noor ka

Padti hai noori bharn, umda hai darya Noor ka
Sar jhuka aye kisht-e-kufr, aata hai ahla Noor ka

Naariyon ka daur tha, dil jal raha tha Noor ka
Tum ko dekha ho gaya thanda kaleja Noor ka

Naskh adyaan kar ke khud qabza bithaaya Noor ka
Taajwar ne kar liya kaccha ilaaka Noor ka

Jo gada dekho liye jaata hai toda Noor ka
Noor ki sarkar hai, kya us mein toda Noor ka

Bheek le Sarkar se, laa jald kaasa Noor ka
Maah-e-no Tayba mein batt'ta hai mahina Noor ka

Dekh un ke hote nazeeba hai da'wa Noor ka
Mehr likh de yaan ke zarron ko muchalka Noor ka

Yaan bhi daagh-e-sajda-e-Tayba hai tamgha Noor ka
Aye Qamar, kya tere hi maathe hai tika Noor ka

Sham’a saan ek ek parwana hai us baa Noor ka
Noor-e-Haq se lo lagaaye, dil mein rishta Noor ka

Anjuman waale hain anjum, bazm halka Noor ka
Chaand par taaron ke jhurmat se hai haala Noor ka

Teri nasl-e-paak mein hai bachcha bachcha Noor ka
Tu hai ain-e-Noor, tera sab gharana Noor ka

Noor ki sarkar se paaya doshala Noor ka
Ho mubarak tum ko Zulnoorain joda Noor ka

Kis ke parde ne kiya aaeena andha Noor ka
Maangta phirta hai aankhein har nageena Noor ka

Ab kahan woh tabishain, kaisa woh tadka Noor ka
Mehr ne chhup kar kiya khaasa dhundhalka Noor ka

Tum muqaabil the to pehron chaand badhta Noor ka
Tum se chhut kar munh nikal aaya zara sa Noor ka

Qabr-e-anwar kahiye ya qasr-e-mu’alla Noor ka
Charkh-e-atlas ya koi saada sa qubbah Noor ka

Aankh mil sakti nahi, dar par hai pehra Noor ka
Taab hai be-hukm par maare parinda Noor ka

Naz’a mein lautega khaak-e-dar pe shaida Noor ka
Mar ke odhegi aroos-e-jaan dupatta Noor ka

Taab-e-mehr-e-Hashr se chonke na kushta Noor ka
Boondiyan rehmat ki dene aayin chheenta Noor ka

Waz’a-e-waazeh mein teri soorat hai ma’na Noor ka
Yoon majaazan chahein jisko keh dein kalma Noor ka

Anbiya ajza hain to bilkul hai jumla Noor ka
Is ilaqay se hai un par naam sucha Noor ka

Yeh jo mehr o mah pe hai itlaq aata Noor ka
Bheek tere naam ki hai isti’ara Noor ka

Surmageen aankhein Hareem-e-Haq ke woh mushkeen ghazaal
Hai faza-e-la-makaan tak jinka ramna Noor ka

Taab-e-husn-e-garm se khil jaayenge dil ke kanwal
Nau bahaaren laaye ga garmi ka jhalka Noor ka

Zarre mehr-e-Quds tak tere tawassut se gaye
Hadd-e-ausat ne kiya sughra ko kubra Noor ka

Sabza-e-gardoon jhuka tha bahr-e-pa bosa-e-Buraaq
Phir na seedha ho saka, khaya woh koda Noor ka

Taab-e-sam se chondhiya kar, chaand unhein qadamoun phira
Hans ke bijli ne kaha dekha chhalawa Noor ka

Deed-e-naqsh-e-sum ko nikli saat pardoun se nigaah
Putliyan bolein chalo aaya tamaasha Noor ka

Aks-e-sum ne chaand sooraj ko lagaaye chaar chaand
Pad gaya seem o zar-e-gardoon pe sikka Noor ka

Chaand jhuk jaata jidhar ungli uthatay mahd mein
Kya hi chalta tha ishaaron par khilona Noor ka

Ek seena tak mushaabeh, ek wahan se paaon tak
Husn-e-Sibtain un ke jamon mein hai neema Noor ka

Saaf shakl-e-paak hai dono ke milne se aayaan
Khat-e-tawam mein likha hai yeh do warqa Noor ka

Kaaf gaisoo, ha daahan, yaa abroo aankhein ain saad
Kaaf haa yaa ain saad un ka hai chehra Noor ka

Aye Raza yeh Ahmed-e-Noori ka faiz-e-Noor hai
Ho gayi meri ghazal barh kar qaseeda Noor ka