Kalams Page

Subha-e-Milad-un-Nabi Hai Kya Suhana Noor Hai

Poet: Munawwar Badaayuni | Book: Unknown | Type: Naat

Subha-e-Milad-un-Nabi Hai Kya Suhana Noor Hai


Subha-e-Milad-un-Nabi hai kya suhana noor hai
Aa gaya woh noor wala jis ka sara noor hai

Bazm-e-Taybah kaisi noorani hai, kitna noor hai
Noor hai phir noor kis ka jo sarapa noor hai

Arsh noori, farsh noori, zarra zarra noor hai
Noor ka darbar hai, har simt chhaya noor hai

Dali dali noor ki hai pata pata noor hai
Gul khile hain noor ke gulshan mein mehka noor hai

Main tehi daman hoon Data tere ghar ka noor hai
La ulat de aaj is daman mein jitna noor hai

Jagmaga uthe hain arsh-o-farsh-o-kursi noor se
Allah Allah kya chamak, kya roshni, kya noor hai

Jazb hai har chashm beena mein isi saaye ka noor
Noor ka saaya nazar kya aaye saaya noor hai

Tujh se payi hai tajalli chashm-e-mehr-o-maah ne
Tu woh tara hai ke a'ala noor wala noor hai

Jis ne jo kuch noor paya, sab teri Sarkar se
Noor ki Sarkar ka, tu sab se pehla noor hai

Is taraf bhi ek nigaah-e-noor ae Noor ilah
Main sarapa masiyat hoon tu sarapa noor hai

Ae munawwar, ek meri hi nazar par bas nahi
Har nazar har aankh ke parde mein us ka noor hai