Sona Jangal Raat Andheri Chhaayi Badli Kaali Hai
Sona Jangal Raat Andheri Chhaayi Badli Kaali Hai
Sona jangal raat andheri chhaayi badli kaali hai
Sone walo! jaagte rehiyo choron ki rakhwali hai
Aankh se kajal saaf chura lein yaan woh chor bhala ke hain
Teri guthri taaki hai aur tu ne neend nikaali hai
Yeh jo tujh ko bulaata hai yeh thag hai maar hi rakhega
Haaye musaafir dam mein na aana mat kaisi matwali hai
Sona paas hai sona ban hai sona zehar hai uth pyaare
Tu kehta hai neend hai meethi teri mat hi niraali hai
Aankhen milna jhanjhula padna laakhon jhmaayi angdaayi
Naam par uthne ke ladta hai uthna bhi kuchh gaali hai
Jugnu chamke pata khadke mujh tanha ka dil dhadke
Dar samjhaaye koi paon hai ya agiya beetaali hai
Badal garje bijli tarapke dhak se kaleja ho jaaye
Ban mein ghata ki bhayanak soorat kaisi kaali kaali hai
Paun utha aur thokar khai kuchh sambhla phir aundhe munh
Meenh ne phislan kar di hai aur dhur tak khai naali hai
Saathi saathi keh ke pukaron saathi ho to jawaab aaye
Phir jhanjhula kar sir de patkoon chal re Moula wali hai
Phir phir kar har jaanib dekhoon koi aas na paas kahin
Haan ik tooti aas ne haare ji se rafaakat paali hai
Tum to chaand arab ke ho pyaare tum to ajam ke sooraj ho
Dekho mujh be kas par shab ne kaisi aafat daali hai
Duniya ko tu kya jaane yeh bas ki ganth hai haraafa
Soorat dekho zaalim ki to kaisi bhooli bhaali hai
Shehad dikhaaye zehar pilaaye, qatil, daayan, shauhar kash
Is murdaar pe kya lalchaaya duniya dekhi bhaali hai
Woh to nihaayat sasta sauda bech rahe hain jannat ka
Hum muflis kya moul chukaayein apna haath hi khaali hai
Moula tere afw wa karam hoon mere gawaah safai ke
Warna Raza se chor pe teri degree to iqbaali hai