Shukar Sad Shukar Ke Rehti Hai Mujhe Yaad Madina
Shukar Sad Shukar Ke Rehti Hai Mujhe Yaad Madina
Shukar sad shukar ke rehti hai mujhe yaad madina
Dil rehta hai har waqt mera shaad madina
Har waqt nigahon mein tasawwur mein tuhi hai
Allah re ae husn khudadad madina
Is ke hi tasadduq mein sanwar jata hai kirdar
Sab se badi ni'mat hi faqat yaad madina
Woh kaif to lafzon mein bayan ho nahi sakta
Jis kaif mein rakhti hai mujhe yaad madina
Ab mushkilain aati hi nahi zeest mein koi
Sadqe tere qurban tere ae yaad madina
Sadqe mein tere daaman rahmat hai mera par
Ab aur talab kya karun ae yaad madina
Ab Lakhnavi rehne ki tamnna nahi mujh ko
Allah bana de mujhe Behzad madina