Shor-e-Mah-e-No Sun Kar Tujh Tak Mein Dwan Aaya
Shor-e-Mah-e-No Sun Kar Tujh Tak Mein Dwan Aaya
Shor-e-mah-e-no sun kar tujh tak mein dwan aaya
Saqi mein tere sadqe may de Ramzan aaya
Is gul ke siwa har phool badosh graan aaya
Dekhi hi gi ae bulbul jab waqt-e-fughan aaya
Jab bam-e-tajalli par woh nayyar-e-jaan aaya
Sar tha jo gira jhuk kar dil tha jo tapan aaya
Jannat ko haram samjha aate to yahan aaya
Ab tak ke har ek ka munh kahata hoon kahan aaya
Taiba ke siwa sab baagh paamaal-e-fana honge
Dekho ge chaman walo! jab ahd-e-khazan aaya
Sar aur woh sang-e-dar aankh aur woh bazm-e-noor
Zalim ko watan ka dhiyan aaya to kahan aaya
Kuch naat ke tabke ka alam hi nirala hai
Sakta mein pari hai aqal chakkar mein gumaan aaya
Jalti thi zameen kaisi thi dhoop kari kaisi
Lo woh qad-e-bay saaya ab saaya kanaan aaya
Taiba se hum aate hain kahiye to jann walo
Kya dekh ke jeeta hai jo waan se yahan aaya
Le tauq-e-alam se ab aazaad ho aye qamri
Chitthi liye bakhshish ki woh sarw-e-rwan aaya
Naam-e-Raza ke ab mit jao bure kamo
Dekho mere pellah par woh achhe mian aaya
Badkaar Raza khush ho badkaam bhale honge
Woh achhe mian pyara achhon ka mian aaya