Kalams Page

Shahsawar-e-Karbala Ki Shahsawari Ko Salam

Poet: Allama Saim Chishti | Book: Kulyat-e-Saim Chishti | Type: Manqabat

Shahsawar-e-Karbala Ki Shahsawari Ko Salam


Shahsawar-e-Karbala ki shahsawari ko salam
Shahsawar Karbala ki shahsawari ko salam

Shahsawar Karbala ki shahsawari ko salam
Neze pe Quran pardne wale qari ko salam

Raat din bichrre huon ki raah mein rehna kharrde
Hazrat-e-Sughra tumhari intizari ko salam

Sar se chaddar chhin gayi lekin nazar uthi nahi
Hazrat-e-Zainab tumhari parda dari ko salam

Muskuraate tegh pe roshan kiya rangeen charagh
Akbar o Qasim tumhari jaan nisari ko salam

Kanp utha arsh ka dil aasmaan thar-ra gya
Asghar-e-masoom teri beqarari ko salam

Katt gya kanba museebat sar pe aai, lut gayi
Ho gayi bhai bhatijon se judaai, lut gayi
Umr bhar ki dasht-e-ghurbat mein kamai lut gayi
Ro ke jab kehti thi Zainab haaye bhai lut gayi
Ghar Ali ka kya lutta saari khudai lut gayi

Har imtihan mein sabir o shakir rahe Hussain
Koah-e-alam uthane ko haazir rahe Hussain

Dhokay se Kofiyon ne bula kar sitam kiya
Mehmaan-e-bewatan ko bula kar sitam kiya

Khaima laga na nehr pe Ahmad ki aal ka
Paani bhi band kar diya Zahra ke laal ka

Lashon ko bhanjon ki lahoo mein saja ke laye
Tootay huay behisht ke tare utha ke laye

Aaya kisi ko paas na rooh-e-Rasool ka
Gul kar diya charagh mazaar-e-Batool ka

Qasim ki maut tord gayi aas, uff na ki
Pyaase shaheed ho gaye Abbas uff na ki

Sookhay gale pe teer laga khoon mein bhar gaye
Akbar tadapte kanpte haathon mein mar gaye

Shahsawaaar Karbala ki shahsawari ko salam
Shahsawaaar Karbala ki shahsawari ko salam