Kalams Page

Shah-e-khyber Shikan Ki Yaad Aayi

Poet: Hafeez Taib | Book: As'habika An-Nujoom | Type: Manqabat

Shah-e-khyber Shikan Ki Yaad Aayi


Shah-e-Khyber Shikan ki yaad aayi
Peshwa-e-Zaman ki yaad aayi

Jaan Nisar-e-Rasool (SAW), Zauj-e-Batool
Sher-e-Haq, Bo-ul-Hassan ki yaad aayi

Wa kiye jis ne seinko(n) aqde
Us gul afshaan dahan ki yaad aayi

Yaad aaya Hunain ka naqsha
Dast-e-Shamsheer zan ki yaad aayi

Jis ko apna badan Nabi (SAW) ne kaha
Us mubarak badan ki yaad aayi

Maslay jab amad amad aaye
Bo-Turabi chalan ki yaad aayi

Jab jahalat ke dasht mein bhatke
Hikmaton ke chaman ki yaad aayi

Dil ko taskeen ho gayi Taib
Jis ghari Panjtan ki yaad aayi