Seerat O Kirdar Dete Hain Shahadat Aap Ki
Seerat O Kirdar Dete Hain Shahadat Aap Ki
Seerat o kirdar dete hain shahadat aap ki
Chaar soo tabaan jahan mein hai sadaqat aap ki
Zindagani ka saleeqa aap ne batla diya!
Noo-e insaan par hai be paayaan inayat aap ki
Aap ke afkaar to Qur'an ki tafseer hain
Baais-e rehmat zamane mein risaalat aap ki
Millat-e baiza ki azmat aap ki taleem mein
Kamyabi ki dalaalat hai shariat aap ki
Jhooliyan bharte rahe mohtaaj bhi, maskeen bhi
Ba-Khuda itni farawan thi sakhaawat aap ki
Karwan-e fikr ka jaada jahan-e shauq mein
Manzil-e maqsood ka rasta hidayat aap ki
Kesa dil mein chhupa lo gohar-e tauheed ko
Zindagani ka asaasa ye amanat aap ki