Kalams Page

Sarwar Kahun Ke Maalik O Maula Kahun Tujhe

Poet: Ahmed Raza Khan Barelvi | Book: Hadaiq-e-Bakhshish | Type: Naat

Sarwar Kahun Ke Maalik O Maula Kahun Tujhe


Sarwar kahun ke Maalik o Maula kahun tujhe
Bagh e Khalil ka gul e zayba kahun tujhe

Harmaan naseeb hun tujhe umeed gah kahun
Jaan e muraad o kaan e tamanna kahun tujhe

Gulzar e Quds ka gul e rangeen ada kahun
Darman e dard e bulbul e shayda kahun tujhe

Subah vatan pe shaam e ghareeban ko dun sharaf
Bakas nawaz gesuon wala kahun tujhe

Allah re tere jism e manawwar ki tabishen
Ae jaan e jaan main jaan e tajalla kahun tujhe

Be dag laala ya qamar be kulf kahun
Be khaar gulban e chaman ara kahun tujhe

Mujrim hun apne afu ka saamaan karun shaha
Yani shafi roz e jaza ka kahun tujhe

Iss murda dil ko mujda hayat adab ka dun
Tab o taawan e jaan e Maseeha kahun tujhe

Tere to wasf e aib tnaahi se hain bari
Hairaan hun mere shaah main kya kya kahun tujhe

Keh le gi sab kuch unke sanakhwan ki khamoshi
Chup ho raha hai keh ke main kya kya kahun tujhe

Lekin Raza ne khatam e sukhan is pe kar diya
Khaaliq ka banda khalaq ka aaqa kahun tujhe