Kalams Page

Sarkar Ye Naam Tumhara, Sab Naamon Se Hai Pyara

Poet: Riaz-ud-Din Suhrawardi | Book: Unknown | Type: Naat

Sarkar Ye Naam Tumhara, Sab Naamon Se Hai Pyara


Sarkar ye naam tumhara, sab naamon se hai pyara
Is naam se chamka sooraj, aur chamka chaand sitara
Hua har soo khoob ujala, hua roshan aalam saara
Mera naam kare ga roshan, do jug mein naam tumhara

Jab Rab Qadeer tumhari, kare khud hi madah sarai
Har aik ke labon par phir to tareef tumhari aai
Sad shukar ke zikr tumhara. rahe har dum wird hamara
Mera naam kare ga roshan, do jug mein naam tumhara

Har waqt ata par hum ne, dekha hai tumhein to mail
Dar paak pe aaya jab bhi, kaisa hi koi saail
Ae rehmat e aalam tum ne, ise kar hi liya hai gawara
Mera naam kare ga roshan do jug mein naam tumhara

Saail hoon tere dar ka, mile mujh ko bheek karam ki
Rakh laaj ae mere aaqa, is meri chashm e nam ki
Karo gunbad e khizra ka, phir aankhon se apni nazara
Mera naam kare ga roshan, do jug mein naam tumhara

Jab roz e qayamat har aik, bole ga nafsi nafsi
Aur daad kisi ki de ga mahshar mein jab na koi
Aise mein ata ho mujh ko, ae shafi e hashr sahara
Mera naam kare ga roshan, do jug mein naam tumhara

Lehron ne meri ye kashti har janib se hai gheri
Sarkar khabar lo meri, sarkar khabar lo meri,
Mile mujh ko afiyat ka, mere aaqa jald kinara
Mera naam kare ga roshan, do jug mein naam tumhara

Jo mujh par beet rahi hai, wo kis ko kaise bataon
Aur apne dil ki hikayat, bhala kis ko jake sunaoon
Tum mehram e raaz ho mere, meri daad rasi ho khudara
Mera naam kare ga roshan, do jug mein naam tumhara

Meri arz khudara sun lo, mere haal pe mujh ko na chhoro
Zara apni chashm inayat, bebas ki taraf bhi modo
Be kas ka tum ho sahara, bechare ka tum ho chaara
Mera naam kare ga roshan, do jug mein naam tumhara

Do apne ishq ki dolat, mujhe apni aal sadaqah
Ye Riaz faqeer azal se tere dar ka hi hai shaah
Tere dast e ata ke aage, daaman hai us ne pasara
Mera naam kare ga roshan, do jug mein naam tumhara