Kalams Page

Sarkar e Ghaus e Azam Nazar e Karam Khudara

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Manqabat

Sarkar E Ghaus E Azam Nazar E Karam Khudara


Sarkar e Ghaus e Azam nazar e karam khudara
Mera khaali kasa bhardo main faqeer hoon tumhara

Sab ka koi na koi duniya mein aasra hai
Mera bajuz tumhare koi nahi sahara

Jholi ko meri bhar do warna kahe gi duniya
Aise sakhi ka mangta phirta hai mara mara

Ye ada e dastgeeri koi mere dil se poochhe
Wahin aa gaye madad ko maine jab jahan pukara

Siddique Umar ka sadqa Usman Ali ka sadqa
Meri laaj rakh lo Meera’n main faqeer hoon tumhara

Ganj e Shakar ka sadqa Ahmad Raza ka sadqa
Meri laaj rakh lo ya Ghaus main faqeer hoon tumhara

Madani Zia ka sadqa Murshid piya ka sadqa
Meri laaj rakh lo ya Ghaus main faqeer hoon tumhara

Ye tera karam hai murshid jo bana liya hai apna
Kahan mujh sa ye kameena kahan silsala tumhara