Sar So'e Rozha Jhuka Phir Tujh Ko Kya
Sar So'e Rozha Jhuka Phir Tujh Ko Kya
Sar so'e rozha jhuka phir tujh ko kya
Dil tha saajid najdiya phir tujh ko kya
Baihtte uthhte madad ke waaste
Ya Rasool Allah kaha phir tujh ko kya
Ya gharz se chhat ke mahz zikr ko
Naam-e-paak un ka japa phir tujh ko kya
Bekhudi mein sajda dar ya tawaaf
Jo kiya achha kiya phir tujh ko kya
Un ko tamleek maliku-l-mulk se
Malik-e-aalam kaha phir tujh ko kya
Un ke naam-e-paak par dil jaan o maal
Najdiya sab taj diya phir tujh ko kya
Ya 'ibaadi kehke hum ko Shah ne
Apna banda kar liya phir tujh ko kya
Dev ke bandon se kab hai ye khitaab
Tu na un ka hai na tha phir tujh ko kya
La ya'udoon aage ho ga bhi nahin
Tu alag hai daa'iman phir tujh ko kya
Dasht-e-gird o peshe tayyiba ka adab
Makka sa tha ya siwa phir tujh ko kya
Najdi marta hai ke kyun ta'zeem ki
Ye hamara deen tha phir tujh ko kya
Dev tujh se khush hai phir hum kya karein
Hum se raazi hai Khuda phir tujh ko kya
Dev ke bandon se hum ko kya gharz
Hum hain Abd-e-Mustafa phir tujh ko kya
Teri dozakh se to kuch cheena nahin
Khuld mein pohoncha Raza phir tujh ko kya