Kalams Page

Salam Tum Par Durood Tum Par

Poet: Muzaffar Warisi | Book: Noor-e-Azal | Type: Naat

Salam Tum Par Durood Tum Par


Tumhari aahat se zehan jagay
Nighaah jaye na tum se aage
Hain khatam sari hudood tum par
Salaam tum par darood tum par

Tumhara jalwa khameer aadam
Tum aasman o zameen kay sangam
Tumhari amad Kamaal ezad
Tumhare andar tamam aalam
Tumhari mannun har ghari hai
Abad ko ghere hue khari hai
Imarat hast o bood tum par
Salaam tum par darood tum par

Khuda ke athar ki zubaan tum
Hamare aur us ke darmiyan tum
Khuda ko pyari Ada tumhari
Jahan jahan wo wahan wahan tum
Har aik takhleeq ki bana ho
Tum us haqeeqat ka aaina ho
Khula dar-e har shuhud tum par
Salaam tum par darood tum par

Rasul saray imam saray
Tumhare dar ke ghulam saray
Tumhare hasti Hai sab ki basti
Tumhare saail nizaam saray
Hain jis ke qabze mein sab khazane
Kya usi khaaliq ula nay
Har aik shay ka darood tum par
Salaam tum par darood tum par

Chali thein dil se babool le kar
Duaen lautii hain phool le kar
Mein hashar tak ka Raees thahra
Khuda se hub-e rasul le kar
Khataon ko rehmaten nawazeen
Nisar tum par meri namaazen
Fida qiyam o sujood tum par
Salaam tum par darood tum par