Salaam Us Par Khuda Ke Baad Jis Ki Shaan Yakta Hai
Salaam Us Par Khuda Ke Baad Jis Ki Shaan Yakta Hai
Salaam us par Khuda ke baad jis ki shaan yakta hai
sana khawa khud Khudae Paak hai, jo sab ka aaqa hai
salaam us par ke tora zor jis ne but paraston ka
alam ooncha kia jis ne jahan ke zeer daston ka
salaam us par ke jis ki paak soorat, paak seerat thi
salaam us par ke jis ki zindagi khalq o murawat thi
salaam us par ke baad us ke na aae ga nabi koi
na us sa koi aaya hai, na aae ga nabi koi
salaam us par ke jis ne dard ki daulat ata kar di
sikhae jis ne kamzoron ko aaen jawan mardi
salaam us zaat aqdas par ke haami hai yateemon ka
salaam us jaan at'har par jo wali hai ghareebon ka
salaam us par andheray mein ujaala kar dia jis ne
Khuda ke noor se dono jahan ko bhar dia jis ne
salaam us par ghulamon ko ata ki jis ne sultani
sikhae jis ne mazoomon ko andaaz jahan bani
salaam us par mili hai mehr o mah ko jis se taabani
salaam us par ke paai char'kh ne jis se darakhshani
salaam us par ke jo matloob o maqsad Khuda thehra
salaam us par ke jo toote dilon ka a'sra thehra