Kalams Page

Salaam Us Par Ke Jis Ne Be-kason Ki Dastageeri Ki

Poet: Manzoor Hussain (Maher-ul-Qadri) | Book: Unknown | Type: Naat

Salaam Us Par Ke Jis Ne Be-kason Ki Dastageeri Ki


Salaam us par ke jis ne be-kason ki dastageeri ki
Salaam us par ke jis ne badshahi mein faqeeri ki

Salaam us par ke asrar-e-mohabbat jis ne sikhlaye
Salaam us par ke jis ne zakm kha kar phool barsaye

Salaam us par ke jis ne khoon ke pyaason ko qabayein deen
Salaam us par ke jis ne gaaliyan sun kar duayein deen

Salaam us par ke dushman ko hayaat-e-javedaan de di
Salaam us par Abu Sufiyan ko jis ne amaan de di

Salaam us par ke jis ka zikr hai saaray sa-haif mein
Salaam us p hua majrooh jo bazaar-e-taif mein

Salaam us par watan ke log jis ko tang karte thay
Salaam us par ke ghar wale bhi jis se jang karte thay

Salaam us par ke jis ke ghar mein chandi thi na sona tha
Salaam us par ke toota boriya jis ka bichona tha

Salaam us par jo sachai ki khaatir dukh uthatta tha
Salaam us par jo bhooka reh ke auron ko khilata tha

Salaam us par jo ummat ke liye raaton ko rota tha
Salaam us par jo farsh-e- khaak par jaade mein sota tha

Salaam us par jo duniya ke liye rehmat hi rehmat hai
Salaam us par ke jis ki zaat fakhr-e-adamiyat hai

Salaam us par ke jis ne jholiyan bhar deen faqeeron ki
Salaam us par ke mushkein khol deen jis ne aseeron ki

Salaam us par ke jis ki chaand taaron ne gawaahi di
Salaam us par ke jis ki sang paaron ne gawaahi di

Salaam us par ke jis ne zindagi ka raaz samjhaya
Salaam us par ke jo khud badr ke maidan mein aaya

Salaam us par ke jis ka naam le kar us ke sheedai
Ulat deti hain takht-e-qaisriyat ooj-e-daaraai

Salaam us par ke jis ke naam lewa har zamane mein
Barha deti hain tukra sarfaroshi ke fasane mein

Salaam us zaat par ke jis ke yeh pareshan haal deewane
Suna sakte hain ab bhi Khalid o Haider ke fasane

Durood us par ke jis ki bazm mein qismat nahi soti
Durood us par ke jis ke zikr se seeri nahi hoti

Durood us par ke jis ke azkare hai paakbazoon mein
Durood us par ke jis ka naam lete hain namazon mein

Durood us par, jise shama-e-shabistan azal kahiye
Durood us zaat par fakhr-e-bani aadam jise kahiye