Sahib-at-Taaj Wo Shah-e-Meraaj Wo Shehsawar-e-Buraaq O Ameer-e-Alam
Sahib-at-Taaj Wo Shah-e-Meraaj Wo Shehsawar-e-Buraaq O Ameer-e-Alam
Sahib-at-taaj wo Shah-e-Me'raaj wo Shehsawar-e-Buraaq o Ameer-e-Alam
Daafi-e-har bala daafi-e-har waba daafi-e-qahat o Amraaz o Ranj o Alam
Ism likha gaya Ism ooncha hua Ism mohar qubool Shafa'at bhi hai
Ism ki Barkatein, Ism ki Ronaqein, Ism loh o qalam ki amanat bhi hai
Kya Arab Kya Ajam sab ke Sardar hain sab ke Sardar ka hai Muqaddas badan
Haram o Kaaba ko jo munawwar kare wo mehakta wo pakeeza si ek Kiran
Chaashat gaahoon ka sooraj wujood aap ka, aap har Shab ki zulmat ke Mehtaab hain
Sadr bazm Bulandi o Rif'at ke hain rehguzar hidayat ke Mehtaab hain
Saari Makhlooq ki hain wo jaaye amaan saari tareekiyon ke wo roshan charaagh
Naik teinet hain wo naik atwaar hain unke haathon mein baksheeshon ke Ayaagh
Sar se Pairon talak wo karam hi karam, Rab hifazat kare bal yaqin aap SAW ki
Un ke Khidmat guzaaron mein Jibreel hain aur sawaari Buraaq haseen, Aap SAW ki
Safar un ka hai Me'raaj aur Sidratul Muntaha mustaqarr aur Maqaam un ka hai
Qaab-e-Qosain ka martaba un ka matloob hai aur Daar-us-Salaam un ka hai
Aur Matloob hi un ka Maqsood hai aur Maqsood hi un ka moojood hai
Aap saare Rasoolon ke Sardaar hain aap ka sirf Allah Ma'bood hai
Baad mein saare Nabi'yon ke aaye hain wo bakshowayein ge har ik gunahgar ko
Har musaafir ki karte hain gham khwariyaan Rahmatain baant'tay hain wo sansaar ko
Aashiqon ke dillon ki wo taskeen hain aur muraaden har ik Sahib-e-Shaoq ki
Haq shinaas ke Khorshid o Khawher hain wo Salkin-e-Reh-e-Ishq ki Roshni
Pyaar Mohtaaj o Muflis se Miskeen se har Muqqarrab ki wo rehnumai karen
Jinn o Insaan ke Sardaar dono haram dono Qiblon ki wo Paishwai karen
Duniya aur Aakhirat ka waseela hain wo, Rutba-e-Qaab-e-Qosain jin ko mila
Dono hi Mashriqon Maghribon ka wo Rab haasil un ko Khitaab uske Mehboob ka
Jadd-e-Amjad hain Hasnain ke aur har Jinn o Insaan ke Aaqa o Maula hain wo
Baap Qasim ke betay hain Abdullah ke aur Noor-e-Ilahi ka hissa hain wo
Ae Fidayaan-e-Noor-e-Jamal-e-Nabi SAW aap SAW par Aal o As'haab par subh o shaam
Jaise haq bhejne ka hai bhejo ba-sad ehtiraam o muhabbat darood o salaam