Kalams Page

Sadaayen Duroodon Ki Aati Rahengi Mara Sun Ke Dil Shad Hota Rahe Ga

Poet: Muhammad Ali Zahoori | Book: Nawa-e-Zahoori | Type: Naat

Sadaayen Duroodon Ki Aati Rahengi Mara Sun Ke Dil Shad Hota Rahe Ga


Sadaayen duroodon ki aati rahengi mara sun ke dil shad hota rahe ga
Khuda rakhe abad ahl-e-nazar ko Muhammad ka milaad hota rahe ga

Muhammad diya Haq ne ism-e-graami humein jaan se pyara hai yeh naam-e-naami
Wasilah-e-Roomi, wazifa Jaami yahi naam hai yaad hota rahe ga

Sukoon-e-dil o jaan khayal-e-nabi hai nigahon ka markaz jamal-e-nabi hai
Jise aarzoo-e-wisaal-e-nabi hai woh dil gham se aabad hota rahe ga

Gulon ka tabassum rukh-e-Walduha se wujood-e-gulistan dam-e-Mustafa se
Woh gulshan nahin hai jahan woh nahin hai woh khaali hai barbaad hota rahe ga

Gada hai jo Shah-e-umm ki gali ka usay koi taana na de muflisi ka
Woh ujra nahin hai karam hai sakhi ka haqeeqat mein aabad hota rahe ga

Nawaye Zahoori sanaaye nabi hai mera deen wa imaan razaaye nabi hai
Jo mehroom lutf o ataye nabi hai woh nakaam o nashad hota rahe ga