Kalams Page

Rukh Din Hai Ya Mehr-e-sama Yeh Bhi Nahin Woh Bhi Nahin

Poet: Ahmed Raza Khan Barelvi | Book: Hadaiq-e-Bakhshish | Type: Naat

Rukh Din Hai Ya Mehr-e-sama Yeh Bhi Nahin Woh Bhi Nahin


Rukh din hai ya mehr-e-sama yeh bhi nahin woh bhi nahin
Shab zulfa ya mushk-e-khata yeh bhi nahin woh bhi nahin

Mumkin mein yeh qudrat kahan, wajib mein abdiat kahan
Hairaan hoon yeh bhi hai khataa yeh bhi nahin woh bhi nahin

Haq yeh ke hain abd-e-Allah aur ‘aalam-e-imkaan ke shaah
Barzakh hain woh sirr-e-Khuda yeh bhi nahin woh bhi nahin

Bulbul ne gul un ko kaha, qumri ne sarv-e-jaan-faza
Hairat ne jhanjhala kar kaha yeh bhi nahin woh bhi nahin

Khurshid tha kis zor par, kya barh ke chamka tha qamar
Be-parda jab woh rukh hua yeh bhi nahin woh bhi nahin

Dar tha ke ashiyaan ki saza ab ho gi ya roz-e-jaza
De un ki rehmat ne sada yeh bhi nahin woh bhi nahin

Koi hai naazaan zuhud par ya husn-e-tubah hai sirr
Yaan hai faqat teri ata yeh bhi nahin woh bhi nahin

Din lahw mein khona tujhe, shab subh tak sona tujhe
Sharm-e-Nabi khauf-e-Khuda yeh bhi nahin woh bhi nahin

Rizq-e-Khuda khaya kya, farman-e-Haq taala kya
Shukar-e-karam tars-e-saza yeh bhi nahin woh bhi nahin

Hai bulbul rangeen Raza ya tooti naghmaa-sara
Haq yeh ke waasif hai tera yeh bhi nahin woh bhi nahin