Kalams Page

Roz E Mahshar Saayah Gastar Hai Jo Daaman E Rasool ﷺ

Poet: Maulana Hasrat Mohani | Book: Unknown | Type: Naat

Roz E Mahshar Saayah Gastar Hai Jo Daaman E Rasool ﷺ


Roz e mahshar saayah gastar hai jo daaman e Rasool ﷺ
Taab e dozakh se hain be parwa ghulaman e Rasool ﷺ

Noor se imaan khalis ke munawwar tha jahaan
Ab kahan se aaye wo ehed e darakhshan e Rasool ﷺ

Soum daaim se barhi izzat qiyam e lail ki
Shab ko mehman e Khuda hain din ko mehman e Rasool ﷺ

Rehnama e gumrahan o sargardah maqbulan
Aashiq o mashooq e Yazdaan jan o janan e Rasool ﷺ

Muqtada e saalikan o makhzan e asrar e Haq
Padshah aashiqan o ganj e irfaan e Rasool ﷺ

Noor e chashm e Fatima mehr e darakhshan Ali
Ghaus-ul-Azam Shah Jilan, maah taban e Rasool ﷺ

Hasrat e mehroom hai ummeedwar e iltefaat
Is taraf bhi ik nazar aye meer-e-samaan e Rasool ﷺ