Ronaq-e-bazm-e-jahaan Hain Aashiqaan-e-sookhta
Ronaq-e-bazm-e-jahaan Hain Aashiqaan-e-sookhta
Ronaq-e-bazm-e-jahaan hain aashiqaan-e-sookhta
Keh rahi hai shama ki goya zubaan-e-sookhta
Jis ko qars-e-mehr samjha hai jahaan aye mun’amu!
Un ke khwaan-e-jood se hai ek naan-e-sookhta
Maah-e-mann yeh neyr-e-mahshar ki garmi taabke
Aatish-e-isyyaan mein khud jalti hai jaan-e-sookhta
Barq-e-angusht-e-Nabi chamki thi is par ek baar
Aaj tak hai seenah-e-meh mein nishaan-e-sookhta
Mehr-e-aalam taab jhukta hai paye tasleem rooz
Pesh-e-zarrat-e-mazaar-e-baidlaan-e-sookhta
Kooche-e-gisoy-e-jaanaan se chale thandi naseem
Baal o par afshaan hoon yarabb bulbulaan-e-sookhta
Behr-e-haq aye behr-e-rahmat ik nigah-e-lutf baar
Taabke be-aab tarpein maahiyan-e-sookhta
Rooksh khorsheed mahshar ho tumhare faiz se
Ik sharar-e-seenah-e-shidaaiyaan-e-sookhta
Aatish-e-tardamani ne dil kiye kya kya kabaab
Khizr ki jaan ho jila do maahiyan-e-sookhta
Aatish-e-gulha-e-Tayyiba par jalane ke liye
Jaan ke taalib hain pyaare bulbulaan-e-sookhta
Lutf-e-barq-e-jalwa-e-mi’raaj laya wajd mein
Shola-e-jawala saan hai aasman-e-sookhta
Aye Raza mazoon soz-e-dil ki rifa’at ne kya
Is zameen-e-sookhta ko aasman-e-sookhta