Kalams Page

Rehmat Do Jahan Hami Bekasan Shah-e-Kon O Makan Woh Kahan Main Kahan

Poet: Muhammad Ali Zahoori | Book: Nawa-e-Zahoori | Type: Naat

Rehmat Do Jahan Hami Bekasan Shah-e-Kon O Makan Woh Kahan Main Kahan


Rehmat do jahan hami bekasan Shah-e-kon o makan woh kahan main kahan
Sarwar sarwaran rahbar rahbaran Tajdar-e-shahan woh kahan main kahan

Un ki khushbu se mehke chaman dar chaman, tazkire aap ke anjuman anjuman
Chaand ki chaandni, taron ki roshni, un ke rukh se aya Woh kahan main kahan

Kis tarah se kahan se karon ibtida, un se ausaf ki hai kahan inteha
Un ka rutba hai kya khud hi jane khuda, kya karon main biya woh kahan main kahan

Woh na hote to kuch bhi na hota yahan, un ke hone se hai sab ka naam o nishan
Ye zameen asman ye makan la makan, sare un ke makan woh kahan main kahan

Mah laqa, dilkasha, khush nawa, khush ada, rah numa, peshwa, mujtaba, Mustafa
Jumla bhobiyaan un ganit khoobiyaan, meri qasir zuban woh kahan main kahan

Umar guzre meri zikr-e-sarkar mein, jao un ke zahoori jo darbar mein
Akhri saans loon, naat parha raho khatam hogi yahan woh kahan main kahan