Kalams Page

Rawaan Hai Kaarwaan-e-Rang O Bu Sarkar Ke Dam Se

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Rawaan Hai Kaarwaan-e-Rang O Bu Sarkar Ke Dam Se


Rawaan hai kaarwaan-e-rang o bu Sarkar ke dam se
Do aalam ki ragon mein hai lahoo Sarkar ke dam se

Karein hum kyu na hum apni aabroo Sarkar par qurbaan
Ke qaim hai hamaari aabroo Sarkar ke dam se

Wo mehboob-e-Khuda hain, wajah e takhleeq-e-do aalam hain
Hue aabaad saare kaah o ku Sarkar ke dam se

Inhi ke noor se yeh mehfil-e-hasti hui roshan
Chiraghaan hai jahaan mein chaar so Sarkar ke dam se

Lagan bakhshi humein Sarkar ne ibtaal-e-batil ki
Shi'aar apna hai haq ki justuju Sarkar ke dam se

Rasool-e-Paak ki naatein na kyu Mahmood hum gaayein
Mila hai tum ko zauq-e-guftugu Sarkar ke dam se