Kalams Page

Rasool-e-Mujtaba ﷺ Kahiye, Mohammad-e-Mustafa ﷺ Kahiye

Poet: Manzoor Hussain (Maher-ul-Qadri) | Book: Unknown | Type: Naat

Rasool-e-mujtaba ﷺ Kahiye, Mohammad-e-mustafa ﷺ Kahiye


Rasool-e-Mujtaba ﷺ kahiye, Mohammad-e-Mustafa ﷺ kahiye
Khuda ke baad bas woh hain, phir uske baad kya kahiye

Shariat ka hai yeh israr khatam-ul-anbiya kahiye
Mohabbat ka taqaza hai ke Mehboob-e-Khuda ﷺ kahiye

Jab un ka zikar ho dena sarapa gosh ho jaaye
Jab un ka naam aaye Marhaba Sall Ala kahiye

Mere Sarkar ﷺ ke naqsh-e-qadam shama-e-hidayat hain
Yeh woh manzil hai jisko maghfirat ka rasta kahiye

Mohammad ki nabuwat daira hai noor-e-wahdat ka
Isi ko ibtida kahiye isi ko intiha kahiye

Ghuba-e-raah-e-Tayyiba surma-e-chashm-e-baseerat hai
Yahi woh khaak hai jis khaak ko khaak-e-shifa kahiye

Madinah yaad aata hai to phir aansu nahi rukte
Meri aankhon ko maher, chashma-e-aab-e-baqa kahiye