Rakh Lein Wo Jo Dar Par Mujhe Darban Waghera
Rakh Lein Wo Jo Dar Par Mujhe Darban Waghera
Rakh lein wo jo dar par mujhe darban waghera
Phir kya hain mere samne sultan waghera
Khairat mili ho jinhein sarkar ke dar se
Duniya ke uthate nahi ehsan waghera
Aaqa ki chatai ki to wo shan hai wallah
Bas naam ke hain takht-e-Suleman waghera
Taseer luab dehen-e-pak hai aisi
Sar qadmon mein rakh dete hain Luqman waghera
Banna hai mujhe khak-e-reh-e-shehr-e-Madina
Ban kar mujhe rehna nahi mehmaan waghera
Mil jaye jise dasht-e-Arab sair ki khatir
Kyun maangein wo jannat ke gulistan waghera
Aain to sahi aap ke mangte ke muqabil
Jitne bhi zamane ke hain sultan waghera