Rahi Umr Bhar Jo Anees-e-jaan Wo Bas Aarzoo-e-nabiؐ Rahi
Rahi Umr Bhar Jo Anees-e-jaan Wo Bas Aarzoo-e-nabiؐ Rahi
Rahi umr bhar jo anees-e-jaan wo bas aarzoo-e-Nabiؐ rahi
Kabhi ashk ban ke rawaan hui kabhi dard ban ke dabi rahi
Shah-eؐ deen ke fikr o nigah se mite nasl wa rang ke tafaruqe
Na raha tafakhar-e mansabi, na ra'unat-e nasabi rahi
Sar-e dasht-e zeest baras gaya, jo sahaab-e rehmat-e Mustafaؐ
Na khird ki be samri rahi, na junoon ki tashna labi rahi
Thi hazaar teergai fitan, na bhatak saka mera fikr o fan
Meri ka'inaat-e khayaal par nazar-e shah-eؐ Arabi rahi
Wo safa ka mehr muneer hai talab us ki noor-e zameer hai
Yahi rozgaar-e faqeer hai, yahi iltijaaye shabi rahi
Wohi sa'aten thin suroor ki, wohi din the haasil-e zindagi
Ba hazoor-e Shaؐ fi Umattaan meri jin dino talabii rahi