Kalams Page

Rah-e-purkhar Hai Kya Hona Hai

Poet: Ahmed Raza Khan Barelvi | Book: Hadaiq-e-Bakhshish | Type: Naat

Rah-e-purkhar Hai Kya Hona Hai


Rah-e-purkhar hai kya hona hai
Paaon afgar hai kya hona hai

Khushk hai khoon keh dushman zaalim
Sakht khoonkhar hai kya hona hai

Hum ko bid kar wohi karna jis se
Dost bezaar hai kya hona hai

Tan ki ab kaun khabar le hai hai
Dil ka aazar hai kya hona hai

Meethay sharbat de Maseeha jab bhi
Zid hai inkaar hai kya hona hai

Dil keh teemar humara karta
Aap bemaar hai kya hona hai

Par katay tang qafas aur bulbul
No giraftaar hai kya hona hai

Chup ke logon se kiye jis ke gunah
Woh khabardar hai kya hona hai

Aray o mujrim be parwa dekh
Sar pe talwaar hai kya hona hai

Tere bemaar ko mere Aisa
Ghash lagatar hai kya hona hai

Nafs pur zor ka woh zor aur dil
Zer hai zaar hai kya hona hai

Kaam zindaan ke kiye aur humein
Shauq-e-gulzar hai kya hona hai

Haaye re neend musafir teri
Kooch tayaar hai kya hona hai

Door jana hai raha din thora
Rah dushwaar hai kya hona hai

Ghar bhi jana hai musafir ke nahi
Mat pe kya maar hai kya hona hai

Jaan halkaan hui jaati hai
Baar sa baar hai kya hona hai

Paar jana hai nahi milti nao
Zor par dhaar hai kya hona hai

Rah to tegh par aur talwon ko
Gila-e-khar hai kya hona hai

Roshni ki humein aadat aur ghar
Tireah o taar hai kya hona hai

Beech mein aag ka darya haail
Qasd us paar hai kya hona hai

Is kadhi dhoop ko kyun kar jheelen
Shola zan naar hai kya hona hai

Haaye bigri to kahan aa kar nao
Ain manjhdhaar hai kya hona hai

Kal to deedaar ka din aur yahan
Aankh bekaar hai kya hona hai

Muhn dikhana ka nahi aur seher
Aam darbaar hai kya hona hai

Un ko rehm aaye to aaye warna
Woh kadhi maar hai kya hona hai

Le woh hakim ke sipahi aaye
Subah izhaar hai kya hona hai

Waan nahi baat banane ki majaal
Chaara iqraar hai kya hona hai

Saath walon ne yahin chhor diya
Bekasi yaar hai kya hona hai

Aakhri deed hai aao mil lein
Ranj bekaar hai kya hona hai

Dil humein tum se lagana hi na tha
Ab safar baar hai kya hona hai

Jaane walon pe yeh rona kaisa
Banda nachaar hai kya hona hai

Naz'a mein dhyaan na bat jaaye kahin
Yeh abas pyaar hai kya hona hai

Us ka gham hai keh har ek ki soorat
Gale ka haar hai kya hona hai

Baatain kuch aur bhi tum se karte
Par kahan waar hai kya hona hai

Kyun Raza kurrhate ho hanste uthho
Jab woh ghaffar hai kya hona hai