Raah-e-‘irfaan Se Jo Hum Na-deedah Ro Mehram Nahin
Raah-e-‘irfaan Se Jo Hum Na-deedah Ro Mehram Nahin
Raah-e-‘irfaan se jo hum na-deedah ro mehram nahin
Mustafa hai masnad-e-irshaad par kuch gham nahin
Hoon Musalmaan garchay naaqis hi sahi ae kaamilo!
Maahiyat paani ki aakhir yam se nam mein kam nahin
Ghunche maa awhaa ke jo chutkay danaa ke baagh mein
Bulbul-e-sidrah tak un ki boo se bhi muharram nahin
Us mein Zam Zam hai ke tham tham, us mein Jam Jam hai ke baish
Kasrat-e-Kausar mein Zam Zam ki tarah kam kam nahin
Panjah-e-mehr-e-Arab hai jis se daryaa beh gaye
Chashma-e-khurshid mein to naam ko bhi nam nahin
Aisa ummi kis liye munt-kash-e-ustaad ho
Kya kafaayat us ko Iqra’ Rabbukal Akram nahin
Aus mehr-e-hashr par par jaaye pyaaso to sahi
Us gul-e-khandaan ka rona, giryah-e-shabnam nahin
Hai unhi ke dam qadam ki baagh-e-‘aalam mein bahaar
Woh na thay ‘aalam na tha, gar woh na hon ‘aalam nahin
Saayah-e-deewaar o khaak-e-dar ho Ya Rabb aur Raza
Khwahish-e-dayhim-e-Qaiser, shauq-e-takht-e-Jam nahin