Qurban Main Un Ki Bakhshish Ke Maqsad Bhi Zabaan Par Aaya Nahi
Qurban Main Un Ki Bakhshish Ke Maqsad Bhi Zabaan Par Aaya Nahi
Qurban main un ki bakhshish ke maqsad bhi zabaan par aaya nahi
Bin maange diya aur itna diya daaman mein humare samaya nahi
Imaan mila un ke sadqe Qur'an mila un ke sadqe
Rehmaan mila un ke sadqe woh kya hai jo hum ne paaya nahi
Un ka to shiaar karimi hai ma'il beh karam hi rehte hain
Jab yaad kiya Ae Sal-e Ala woh aa hi gaye tarpaaya nahi
Jo dushman jaan the un ko bhi di tum ne amaan apnon ki tarah!
Yeh afw-o-karam Allah Allah yeh khulk kisi ne paaya nahi
Woh rehmat kaisi rehmat hai mafhoom samajh lo rehmat ka
Us ko bhi gale se lagaya hai jise apna kisi ne banaya nahi
Muns hain wohi ma'zooron ke ghamkhwar hain sab majbooron ke
Sarkaar-e Madina ne tanha kis kis ka bojh uthaya nahi
Dil bhar gaye mangton ke lekin dene se teri niyat na bhari
Jo aaya usay bhar bhar ke diya mehroom kabhi loutaya nahi
Aawaaz karam deta hi raha thak haar gaye lene wale!
Mangton ki hamesha laaj rakhi mehroom kabhi loutaya nahi
Rehmat ka bharam bhi tum se hai shafqat ka bharam bhi tum se hai
Thukraye hue insaan ko bhi tum ne to kabhi thukhraya nahi
Khursheed qayamat ki taabish maana ke qayamat hi hogi
Hum un ke hain ghabraayein kyun kya hum pe Nabi ka saya nahi
Us mohsin-e azam ke yun to Khalid pe hazaaron ehsa'n hain
Qurban magar us ehsa'n ke ehsa'n bhi kya to jataya nahi