Kalams Page

Pyari Maa Mujh Ko Teri Dua Chahiye

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Manqabat

Pyari Maa Mujh Ko Teri Dua Chahiye


Pyari maa mujh ko teri dua chahiye
Tere daman ki thandi hua chahiye

Jis ghari meri maa muskurane lagi
Deeno duniya meri jagmagane lagi

Ghar ki ronak hai tu ghar ki zeenat hai tu
Mere sar ki qasam meri jannat hai tu

Har ghari sar pe maa tera saya rahe
Tere kadmo se ghar mein ujala rahe

Tu jo shad hai to ye zindagi shad hai
Tere bin zindagi meri barbad hai

Ranj o gham mein sada muskurati hai tu
Ghar mein khushiyon ke deep jalati hai tu