Kalams Page

Pukaro Ya Rasool Allah Ya Habib Allah

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Pukaro Ya Rasool Allah Ya Habib Allah


Pukaro Ya Rasool Allah Ya Habib Allah
Pukaro Ya Rasool Allah Ya Habib Allah

Nabi ka jhanda le kar niklo duniya par chha jao
Nabi ka jhanda aman ka jhanda ghar ghar mein lehrao

Pukaro Ya Rasool Allah Ya Habib Allah
Pukaro Ya Rasool Allah Ya Habib Allah

Khalad mein hoga hamara daakhila is shan se
Ya Rasool Allah ka narra lagate jaenge

Ya Rasool Allah ke narra se hum ko pyaar hai
Jis ne ye narra lagaya us ka bera paar hai

Khaak ho jaen adu jal kar magar hum to Raza
Dam mein jab tak dam hai zikr un ka sunate jaenge

Hashar tak dalenge hum paidaish Maula ki dhoom
Mithl Faris Najd ke qile garate jaenge

Naat khwaani maut bhi hum se chhuda sakti nahi
Qabr mein bhi Mustafa ke geet gaate jaenge

Tum bhar karke un ka charcha apne dil chamkao
Oonche mein ooncha Nabi ka jhanda ghar ghar mein lehrao

Pukaro Ya Rasool Allah Ya Habib Allah
Pukaro Ya Rasool Allah Ya Habib Allah

Ya Habib Kibriya Ahlan wa Sahlan Marhaba
Mustafa wa Mujtaba Ahlan wa Sahlan Marhaba

Aagaye Khair-ul-wara Ahlan wa Sahlan Marhaba
Aaye Shah-e-Ambiya Ahlan wa Sahlan Marhaba

Tum bhi karke un ka charcha apne dil chamkao
Oonche mein ooncha Nabi ka jhanda ghar ghar mein lehrao

Pukaro Ya Rasool Allah Ya Habib Allah
Pukaro Ya Rasool Allah Ya Habib Allah