Kalams Page

Pohunchon Madine Kaash! Mein Is Bekhudi Ke Saath

Poet: Ilyas Attar Qadri | Book: Wasaail-e-Bakhshish | Type: Naat

Pohunchon Madine Kaash! Mein Is Bekhudi Ke Saath


pohunchon Madine kaash! mein is bekhudi ke saath
rota phirun gali gali deewangi ke saath

aate hain mujh ko yaad woh lamhaat-e-khushgwaar
guzray thay Taiba mein jo kabhi murshidi ke saath

yon hi nigah gunbad-e-khazra ko choom le
qurbaan meri jaan ho khud raftagi ke saath

mujh ko baqi'a-e-paak mein do gaz zameen mile
ya rab! dua hai tujh se meri aajizi ke saath

Allah! mera hashr ho Boobakr aur Umar
Usman Ghani aur Hazrat-e-Moula Ali ke saath

palte ga paak ho ke dar-e-Mustafa se woh
pohanche ga jo gunaahon ki aloodgi ke saath

har ik gunaah gaar pukaray ga hashr mein
aqa ko ashkbaar badi bebasi ke saath

mahashar mein mujh ko yon hi nazar aayenge huzoor
qadmon mein loot jaon ga warfatgi ke saath

ya rab! tere karam se jagah khuld mein mile
mujh ko Rasool-e-Paak ki hamsaygi ke saath

woh yaar-e-ghaar bhi hain to yaar-e-mazaar bhi
Boobakr aaj bhi to hain har dum Nabi ke saath

roti bhi joki aur bichona chattai ka
karte guzarbarsar woh bari sa'adgi ke saath

faizan-e-Ghous-e-Paak bila raib sab ke sab
Attariyon ke saath hai har Qadri ke saath

aisa karam ho nekion mein dil laga kare
pardhta hoon gar namaz bhi to be-dili ke saath

ay Zuljalal tujh se mere do suwal hain
Taiba mein maut, zindagi guzray khushi ke saath

ik baar muskra ke mujhe dekh lijiye
dam toor doon ga qadmon mein warfatgi ke saath

mayoos kyun ho aasi'o! tum hosla rakho
Rab ki ata se unka karam hai sabhi ke saath

khutba, azaan, namaz, ibadat koi si ho
zikr-e-Nabi zaroor hai har bandagi ke saath

tum madni qafilon mein ay Islami bhaiyo!
karte raho hamesha safar khushdili ke saath

apnaye jo sada ke liye ''Sunnat-e-Nabawi''
meri dua hai khuld mein jaye Nabi ke saath

Islami bhai, ''Dawat-e-Islami'' ka sada
tum madni kaam karte raho tandahi ke saath

sarkar hazri ho Madine ki baar baar
Attar ki hai arz badi aajizi ke saath