Phir Yaad Jo Aayi Hai, Madine Ko Bulane
Phir Yaad Jo Aayi Hai, Madine Ko Bulane
Phir yaad jo aayi hai, Madine ko bulane
Kya yaad kiya phir mujhe Shah do saraﷺ ne
Aisa hai to phir fikr hai kyun zad-e-safar ki
Kya ghaib ke khul jayengay mujhe par, na khazane
Main ghalba-e-adaad se dara hoon, na daroon ga
Yeh hosla bakhsha hai mujhe Sheer Khuda ne
Tha shab ko jo main haazir darbar Muhammadﷺ
Chhoda hai asar dil par ajab is ki fiza ne
Hasrat mujhe is jaan-e-jahanﷺ se hai ta'aluq
Samjhe ke na samjhe koi, jaane ke jaane koi