Phir Madine Ki Fzain Pa Gaya
Phir Madine Ki Fzain Pa Gaya
Phir madine ki fzain pa gaya
Ya Rasool Allah mujrim aa gaya
Apne sar par laad kar bar-e-gunah
Ya Rasool Allah mujrim aa gaya
Aah! palle nekiyan kuch bhi nahi
Ya Rasool Allah mujrim aa gaya
Is ke name ke siyahi dur ho
Ya Rasool Allah mujrim aa gaya
Nekiyan se do badal is ke gunah
Ya Rasool Allah mujrim aa gaya
Dijiye is ko shafaat ki sanad
Ya Rasool Allah mujrim aa gaya
Az pai Ghaus-o-Raza ho mughfirat
Ya Rasool Allah mujrim aa gaya
Sadqa Shehzadon ka ho chashm-e-karam
Ya Rasool Allah mujrim aa gaya
Le kar umeed-e-karam jan-e-karam
Ya Rasool Allah mujrim aa gaya
Vasta Zahra ka do khuld-e-bareen
Ya Rasool Allah mujrim aa gaya
Us ko bhi tum to lagate ho gale
Jis ko har darwaze se tala gaya
Ae mere Sarwar ata ho chashm-e-tar
Bheek lene dar pe mangta aa gaya
Qalb-e-muztar ka suwali hoon shah
Bheek lene dar pe mangta aa gaya
Dijiye soz-e-jigar Sultan-e-deen
Bheek lene dar pe mangta aa gaya
Mera seena hi madina do bana
Bheek lene dar pe mangta aa gaya
Ya Nabi qufl-e-Madina dijiye
Bheek lene dar pe mangta aa gaya
Siyedi! akhlaq acche kijiye
Bheek lene dar pe mangta aa gaya
Le ke kashkol aap ke darbar mein
Bheek lene dar pe mangta aa gaya
Dur ho jaye gunahon ka marz
Bheek lene dar pe mangta aa gaya
Do bana mujh ko pasandida ghulam
Bheek lene dar pe mangta aa gaya
Daulat-e-ikhlaas ho aqa ata
Bheek lene dar pe mangta aa gaya
Aap ki nazar-e-karam joon hi pari
Abr-e-rehmat mere sar par chha gaya
Almadad ae Amina ke ladle
Haye! mujh par nafs ghalib aa gaya
Badr-e-kamil dekh kar talwa tera
Faq hua pheeka para sharma gaya
Allah Allah! aap ka husn o jamal
Dost kya dushman ke dil ko bha gaya
Dushman-e-Mehboob bujahil laeen
Badr mein ruswa hua mara gaya
Gulshan-e-alam ki kya dekhoon bahar
Mere dil ko dasht-e-Tayba bha gaya
Naakhun-e-Paki ziyayen marhaba!
Ye hilal-e-eid bhi sharma gaya
Sabz Gunbad ki baharein dekh lo!
Aankh kholo dekho roza aa gaya
Le ke palta un se munh mangi murad
Jo koi darbar mein mangta gaya
Qafila soye madina jab chala
Lab pe naaton ka tarana aa gaya
Chaand do tukde hua sadqe gaya
Jab ishara Mustafa ka pa gaya
Paake marzi Sarwar-e-konain ki
Duba sooraj phir palat kar aa gaya
Marhaba Salli Ala ka shor utha
Hashr mein jab un ka deewana gaya
Naz uthaye the jahan mein jis ke woh
Hashr mein nazon ka pala aa gaya
Hashr mein un ke gada ko dekh kar
Khud jahannum ko pasina aa gaya
Aankh thandi ho tere didar se
Talib-e-didar dar par aa gaya
Shor utha Mahshar mein ye chaaron taraf
Aa gaya Attar un ka aa gaya