Phir Dar E Mustafa ﷺ Ki Yaad Aayi
Phir Dar E Mustafa ﷺ Ki Yaad Aayi
Phir dar e Mustafa ﷺ ki yaad aayi
Kaaba e mudda ki yaad aayi
Khul gaya jis se daimi gul dil
Us saba us hawa ki yaad aayi
Jo tha wird e zama mujajhaha mein
Us dard e wafa ki yaad aayi
Hai jo tazeen e Masjid e Nabwi ﷺ
Phir usi naqsh e pa ki yaad aayi
Jaliyoon ke qareen jo maangi thi
Us murad o dua ki yaad aayi
Dekh kar apna alam e masroor
Un ke lutf o ata ki yaad aayi
Ho gayi phir jabeen e dil betaab
Qiblatain o qaba ki yaad aayi
Ban gaya qalb e manba e anwaar
Ganj e noor o ziya ki yaad aayi
Phir machalne laga hai dil Behzad
Khatam al Anbiya ﷺ ki yaad aayi