Phir Aanay Lagein Sheher E Mohabbat Ki Hawaein
Phir Aanay Lagein Sheher E Mohabbat Ki Hawaein
Phir aanay lagein sheher e mohabbat ki hawaein
Phir paish o nazar ho gayin jannat ki fazaen
Ae qaflay walo, kahin woh gumbad e khizra
Phir aaye nazar hum ko keh tum ko bhi dikhayein
Haath aaye agar khaak tere naqsh e qadam ki
Sar par kabhi rakhein, kabhi aankhon se lagayein
Nazzara farozi ki ajab shaan hai paida
Yeh shakl o shamail yeh abaayein yeh qabaayein
Karte hain azeezan e madina ki jo khidmat
Hasrat unhein dete hain woh sab dil duaayein