Kalams Page

Pehle Wijdaan Naat Kehta Hai

Poet: Abrar Nayyar | Book: Unknown | Type: Naat

Pehle Wijdaan Naat Kehta Hai


Pehle wijdaan naat kehta hai
Phir thana-khawan naat kehta hai

Naat kehta hai aik banda aur
Aik Rahman naat kehta hai

Surah-e-Fatiha se ta wal-naas
Sara Qur'an naat kehta hai

Samnay baith kar sunoonga mein
Mera Hassan naat kehta hai

Us ki rehmat nahi to phir kya hai
Mujh sa nadaan naat kehta hai