Peeri Ka Zamana Hai Madine Ka Safar Hai
Peeri Ka Zamana Hai Madine Ka Safar Hai
Peeri ka zamana hai Madine ka safar hai
Sad shukar meri shaam hum aaghush sahar hai
Ye waqt munajat hai hungaam zafar hai
Aahoon mein tasir hai duaon mein asar hai
Guftaar mein sheereeni hai, raftaar mein masti
Mauzo-e sukhan Syed Zi shan ka nagar hai
Har lahza hain Sarkar ki rehmat pe nigaahein
Har lahza gunahgar pe rehmat ki nazar hai
Subhein bhi ziya baar hain shaamein bhi siya baar
Kya noor afshan silsila shaam o sahar hai
Ye reet ke teele hain ke ayaat e ilahi
Zaraat ki duniya hai ke jalwon ka nagar hai
Khamosh fazaon mein hain din raat azaanein
Khak-e raah Mehboob hai aur sajdon mein sar hai
Makkah bhi nazar mein hai Madina bhi nazar mein
Al-qissa muhabbat ka jahan zair o zabar hai
Dekha hai meri rooh ne woh kaif ka aalam
Dushwar jahan Hoor o Malaaik ka guzar hai
Har gaam hai ek zindagi taza ka paighaam
Mitti mein hai tasir, hawa mein bhi asar hai
In dono maqamaat ke aadaab juda hain
Ek manzil Mehboob, ek Allah ka ghar hai