Payam Laayi Hai Baad-e-Saba Madine Se
Payam Laayi Hai Baad-e-Saba Madine Se
Payam laayi hai baad-e-saba Madine se
Ke rehmaton ki uthi hai ghata Madine se
Humare samne ye naazish-e-bahaar fuzool
Behisht le gayi hai faza Madine se
Farishtay sinkron aate hain aur jaate hain
Bohat qareeb hai arsh-e-Khuda Madine se
Na aayein jaake wahan se yehi tamanna hai
Madine la ke na laaye Khuda Madine se
Ilahi koi to mil jaaye charah gar aisa
Humare dard ki laa de dawa Madine se
Hisaab kaisa nakeeren hogaye be khud
Jab aai qabar mein thandi hawa Madine se
Khuda ke ghar ka gada hoon faqeer e koey Nabi
Mujhe to ishq hai Makkeh se ya Madine se
Chale hi aao mazaar-e-Hussain par seemaab
Kuch aisi door nahin Karbala Madine se