Kalams Page

Pasand Shauq Hai Aab O Hawa Madine Ki

Poet: Maulana Hasrat Mohani | Book: Unknown | Type: Naat

Pasand Shauq Hai Aab O Hawa Madine Ki


Pasand shauq hai aab o hawa Madine ki
Ajaab bahaar sallallahu alaihi wasallam Madine ki

Ba imtiyaaz o ba takhsees khawab gaah Rasool ﷺ
Quloob e ahl e wala mein hai jaa Madine ki

Sa'ubaton mein bhi ek rahat safar ki hai shaan
Jo yaad rehti hai subah o masaa Madine ki

Ilaaj illat e isyaan ki fikr kya ho usay
Jisay naseeb ho khaak e shifa Madine ki