Parcham Kasha Jamaal Hai Shehr-e-habib (ﷺ) Mein
Parcham Kasha Jamaal Hai Shehr-e-habib (ﷺ) Mein
Parcham kasha jamaal hai shehr-e-Habib (ﷺ) mein
Har naqsh be misal hai shehr-e-Habib (ﷺ) mein
Meri taraf bhi dikhye Sarkar (ﷺ) ek nazar
Har lab pe ek sawal hai shehr-e-Habib (ﷺ) mein
Bichhta hi ja raha hai har ek rahguzar par
Dil ka ajeeb haal hai shehr-e-Habib (ﷺ) mein
Jo zakham hain lgaaye hue rozgar ke
In sab ka andimaal hai shehr-e-Habib (ﷺ) mein
Kuch aise ghamgusar haram ke sutoon hain
Kafoor har malaal hai shehr-e-Habib (ﷺ) mein
Manzil pe aa gaya hoon safar jaise kaat kar
Aaram-e-jaan bahaal hai shehr-e-Habib (ﷺ) mein
Tayb Madine wale ke jalwe hain har taraf
Nikhra hua khayal hai shehr-e-Habib (ﷺ) mein