Kalams Page

Noor-e-hazratؐ Ka Jo Tayyaba Ke Nazaroon Mein Na Tha

Poet: Mazhar-ud-Din Mazhar | Book: Unknown | Type: Naat

Noor-e-hazratؐ Ka Jo Tayyaba Ke Nazaroon Mein Na Tha


Noor-e-Hazratؐ ka jo tayyaba ke nazaroon mein na tha
Rang phooloon mein na tha kaif baharon mein na tha

Jab madina na bana tha Shahؐ-e-deen ki manzil
Ishq sargarm safar raah guzaron mein na tha

Faqr khudar tha sarmaya-e-as-haab-e-Rasoolؐ
Talib-e-zar koi Sarkarؐ ke pyaron mein na tha

Ek thi un ki lagan ek tha un ka maqsood
Farq kuch Sarwarؐ konain ke yaron mein na tha

Mere Khwajaؐ ne kiya gharoon ka seena roshan
Warna yun chaand ka maskan kabi gharoon mein na tha

Isi mazmoon ko Ummiؐ ne kiya hum pe ayaaan
Qabil faham jo Quran ke paron mein na tha

Ae Rasoolؐ Arabi! razm haq o batil mein
Koi bekaif tere seenah-fagaron mein na tha

Naat goi o sana khwani Shahؐ se pehle
Ye asar mere kinayoon mein isharon mein na tha

Shukar lillah ke Mazhar se suni naat-e-Nabi
Aesa khush lehja sana khwan koi yaron mein na tha